:

Khaane peene ke kuchh aadaab

top-news
zamzam water buy online authentic india

Aksar dekha jata hai ki kaee hotels, kaee corporate parties, marriage parties, shadiyon me aur deegar taqreeb aur khusoosan ramadan me ek taraf to log itna zyada kha lete hai ki ibadat karna, kaam karna, yaha tak ki chain ki neend sona bhi mushkil ho jata hai aur bimariyo ko gale laga lete hain, doosri taraf itna israaf ki tonns of food waste kiya jata hai aur trash kar diya jata hai, yeh masla duniya bhar ke muslim aur ghair muslims ka dard se sarr hai. Companies ke mess me log likh kar rakhte hain ki, "take all you eat, but eat all you take!"

Din me do martaba ya usse zyada khana koi buri baat nahi hai. Arab ke log din me do martaba khana khaya karte hain jise al-ghada’ and al-‘asha’ (morning and afternoon/evening meals) kaha jata hai. Lekin usse zyada martaba khana israaf nahi kehlaega. Isi ke sath sath ek chiz yeh bhi zehan'nasheen kar lena chahiye :-
Ayesha radiyallaho anha se riwayat hai, woh kehti hain ki, "Nabi sallallahu alaihi wa sallam ke ghar wale (family) ek din me do martaba nahi khate magar un me (dono khane ke waqto me se) ek (waqt me) khajoor khaya karte the." al-Bukhari, 6455. (mafhoom)

Hafiz ibn Hajar Askalani rahimahumullah ne iski tashreeh karte hue kaha hai ki iska matlab yeh hai ki kaee martaba unhe din bhar me sirf ek hi martaba khana mayassar hota tha, aur agar unhe doosri martaba kuchh khane ka mauqa mile to woh khajoor ko zyada pasand karte the. (mafhoom) Fath al-Bari (11/292)

Ab iske sath sath ek chiz aur bhi dekhni chahiye ki ek baar aisa hua ki teen mahine tak Nabi sallallahu alahi wa sallam ke ghar me chulha nahi jala. Nabi sallallahu alahi wa sallam ke paas jibraeel alayhis salam tashreef laate the jo farishto ke sardaar the, Allah subhanahu wa tala unki (aur kayenat ki har har shay ki) har chiz se waqif tha aur hai jiske kabza e kudrat me zameen o aasamaan ke tamam khazane hain. Phir kya baat thi ki itna sabr e jameel Nabi sallallahu alahi wa sallam ne anjaam diya? Aur phir sahaba ka woh muqaddas giroh jise agar zarra barabar bhi andaza ho jaye ki aise halat Nabi sallallahu alahi wa sallam ke ghar ke hain to zaroor ba zaroor woh khane peene ki bahtareen chize unke kadmo me rakh de.

Baat yeh hai ki is halat ka iLm baad ke daur me logo ko hua, us waqt aur us daur me jab is halaat se Nabi sallallahu alahi wa sallam guzar rahe the, woh masjid e nabawi me jaate, namaz padhate, logo ko iLm e deen sikhate, bahar se aane wale delegations se mukhatib hote, dawat o tableeg ka kaam anjaam dete lekin logo ko yeh pata hi na chalta ki Nabi sallallahu alahi wa sallam bhookh ke is shadeed marhale se guzar rahe hain. Kaee baar to Nabi sallallahu alahi wa sallam saum e wisaal rakhte. Unke chehre mubarak par woh masarrat woh taazgi aur woh freshness rahti ki kisi bhi insan ke chahre par woh dekhne nahi mil sakti. Riwayat me aata hai ki Ayesha radiyallaho anha ne kaha ki us daur me hum do kaali chizo par guzara karte, yani ASWADAYN. Paani aur khajoor.

Bhookh ke bare me islam ne insan ki itni acchi rahnuami ki hai ki agar use shadeed bhookh lagi ho, dastarkhwan tayyar ho, aur namaz ka waqt ho to pehle woh apni zaroorat se farigh ho phir namaz ada kare. Lekin khane peene ke bare me ehtiyat baratna utna hi zaroori karar diya gaya hai.

Aksar dekha jata hai ki kaee hotels, kaee corporate parties, marriage parties, shadiyon me aur deegar taqreeb aur khusoosan ramadan me ek taraf to log itna zyada kha lete hai ki ibadat karna, kaam karna, yaha tak ki chain ki neend sona bhi mushkil ho jata hai aur bimariyo ko gale laga lete hain, doosri taraf itna israaf ki tonns of food waste kiya jata hai aur trash kar diya jata hai, yeh masla duniya bhar ke muslim aur ghair muslims ka dard se sarr hai. Companies ke dining areas me log likh kar rakhte hain ki, "take all you eat, but eat all you take!"

Quran me Allah farmata hai: “And eat and drink but waste not by extravagance, certainly He (Allâh) likes not Al-Musrifûn (those who waste by extravagance)” (al-A‘raaf 7:31)
“And waste not by extravagance. Verily, He likes not Al-Musrifûn (those who waste by extravagance)” (al-An‘aam 6:141)
Jaha bukhl se bachne ki taqeed hai, waha beja israaf se bhi sakhti ke sath roka gaya hai. Miskino garibo, bewao, yateemo, rishtedaro aur padosiyo ke sath husn e akhlaaq se pesh ane aur unhe khilane ki taqeed ki gayi hai. Agar insan apni biwi ke mooh me khane ka ek niwala dale aur maqsad yah ho ki Allah razi ho jaye to us par bhi ajr hai.
Padosi ka mamla yah hai ki agar salan ya shorba banaye aur agar quantity kam bhi ho tab bhi usme thoda pani mila kar uske sath bhi share kare. Eid al adha me bhi qurbani ka gosht takseem karne par ajr hai.
Hadees me yeh bhi bataya gaya hai ki pet (stomach) me ek hissa pani ke liye, ek hawa ke liye aur ek khane ke liye hona chahiye. (mafhoom). aur yeh bhi kaha gaya hai ki adam ki aulaad apne pet se bura bartan nahi bharti (mafhoom)
Aaj hamara haal yeh ho gaya hai ki teen waqt ka khana bhar pet khane ke baad bhi chai par chai, cold drinks, kabhi pizza, burgers, fast food, junk food aur na jaane kya kya apne pet me bhar kar insan khud apni tabiyat ki kharabi aur khud apni sehat ki barbadi ki wajah ban jata hai, goya ki apne pet par khud zulm karta rahta hai.
Zaban ki lazzat insan ko halaqat ki kagaar par la kar khada kar deti hai. Pet bhar kar khana mana nahi hai lekin insan ko khud apni halat ka ek maqool andaza hona chaihiye ki agar insan hadd se zyada kha kar apne pet ko kuchh is tarha bhar ke ki phir woh laziness (susti aur kahili) mehsoos kare, ibadato me kotahi ho, faraaiz ko anjam na de sake to phir isse ulema ne mana kiya hai.
al-Bukhaari (5393) aur Muslim (2060) me riwayat hai ki, Kaafir saant aanto me (intestines) khata hai. (mafhoom)
Motepan aur fatness ki napasandgi ki 2 aham wajah yeh hai ki zaroorat se zyada kha kha kar motapan aa jane ki wajah se logo ke dil kamzor ho jayenge aur unki khwahishat e nafs bekaboo ho jayegi.
Allah hum sab ko nek tawfeek ata farmaye.
____________________________
‘Aa’ishah (may Allaah be pleased with her) said: “The first calamity for this ummah after the death of its Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) will be satiety, for when people’s stomachs are full, their bodies will grow fat, and their hearts will become weakened and their desires will grow wild.” Narrated by al-Bukhaari in al-Du’afa’ – as attributed to him by al-Dhahabi in Meezaan al-I’tidaal (3/335). Also narrated by Ibn Abi’l-Dunya in al-Joo’ (no. 22).
_______
The Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) say: “The kaafir eats in seven intestines.” Narrated by al-Bukhaari (5393) and Muslim (2060).
_______
The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: The son of Adam does not fill any vessel worse than his stomach. It is sufficient for the son of Adam to eat a few mouthfuls, to keep him going. If he must do that (fill his stomach), then let him fill one third with food, one third with drink and one third with air.” Narrated by al-Tirmidhi (2380); classed as saheeh by al-Albaani in al-Silsilah al-Saheehah (2265).
In al-Fataawa al-Hindiyyah it says: Eating falls into different categories:
Obligatory – which is that which will ward off death. If a person stops eating and drinking until he dies, then he has committed a sin.
That which is rewarded – which is what will give him more energy so that he is able to pray standing up and makes it easy for him to fast.
Permissible – which is more than that, to the point of eating one’s fill, so that he will have more physical strength. There is no reward for this and it is not regarded as sinful. He will be brought to account for it but the reckoning will be light if the food was halaal.
Haraam – this refers to eating more than one’s fill unless the intention is to have the strength to fast the following day or so as not to embarrass a guest, in which case there is nothing wrong with eating more than one’s fill.
_________
Eating twice in one day is something that is permissible and allowed. It is one of the well-known customs of the Arabs. They used to eat two meals in a day, al-ghada’ and al-‘asha’ (morning and afternoon/evening meals). If a person did not do this, it was only because he was poor; it was not because eating twice in one day is a kind of extravagance.
It was narrated that ‘Aishah (may Allah be pleased with her) said: “The family of Muhammad (peace and blessings of Allah be upon him) did not eat two meals in one day but one of them was dates.
Narrated by al-Bukhari, 6455.
Al-Hafiz Ibn Hajar (may Allah have mercy on him) said:
This indicates that sometimes they could not find anything but one meal in a day, and if they did find two meals, one of them would be dates. End quote.
Fath al-Bari (11/292)
(wallaho aalam)

buy 500ml zamzam water hyderabad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

https://waste-ndc.Pro/community/profile/tressa79906983/

Foor thhe reason that the admin of this web site is working, no question very quickly it will bbe well-known, due to its quality contents. https://waste-ndc.pro/community/profile/tressa79906983/

https://bandur-art.blogspot.com/2024/08/the-ultimate-guide-to-no-mans-sky-mods.html

Hmm it seems like your website ate my first comment (it was super long) so I guess I'll just sum it up what I had written and say, I'm horoughly enjoying your blog. I too am an aspiring blog writer but I'm still new to the whole thing. Do you have anny suggestions for first-time blog writers? I'dgenuinely appreciaye it. https://bandur-art.blogspot.com/2024/08/the-ultimate-guide-to-no-mans-sky-mods.html