:

Shia Ki Tareekh Wa Aqaaid

top-news
zamzam water buy online authentic india

Kitne afsos ki baat hai ki aaj hamare muaashre me "seen" س (sunni) mein "sheen" ش (shia) ki asr nazar aa rahi hai. Jab musalmano ko Mah-e-Muharram ki fazilat, ahmiyat aur khosoosiyat puchhi jaye to woh waqia-e-qarbala ki zikr karte hain, halan ki woh haqq aur baatil ki jung nahi thi.
Muharram ki fazilat us waqie ke pehle bhi thi aur baad me bhi hai, jo hadeeso me waarid hai, ki Moosa alaihis salam aur unki qaum ko roz e aashura firaun se najat mili thi. Aashura ke roze ka talluk shahadat e Hussain radiyallaho anho se nahi hai is baat se aaj bhi musalmano ki aqsariyat bekhabar hai. Uske alawa hijrat ka azeemush shan waqia pesh aaya jaha se islami tareekh ki shuraat hui, musalmano me se aqsar logo ko uske bare me jaan'ne ki bhi dilchaspi nahi, jo waqia qurbaniyon, mashakkato, jaddo jahad aur islam ke urooj ka shahid hai.
Jab musalmano me se kisi ko puchha jaye ki Ali radiyallaho anho ke kitne bete the, to sirf Hasan aur Hussain ka naam lete hain (radiyallaho anho) hala ki unki aur bhi kaee aulaad thi. Jab Nabi sallallahu alahi wa sallam ki betiyon ke bare me puchha jaye to sirf Fatima radiyallaho anho ka naam lete hain, jab ki unke aur bhi betiyan thi.
Musalmano ki aqsariyat ko is tarha brain wash karne me aur unke iLm ke dayre ko mehdood karne ki saazish me is tarha ahle-tashee (shia) kuchh kad tak kamiyab nazar aate hain. Hazrat Fatima, Hazrat Hussain, Hasan aur Ali radiyallaho anho ki fazilat aur ahmiyat apni jagah barqaraar hai, hum unke martabe ko kam nahi karte lekin iska matlab yeh bhi nahi ki hum haqaeeq par mabni jaankariyon ko nazar'andaaz kar den. Jab shahadat ke bare me puchha jaye to Hussain radiyallaho anho ka naam unki zuban par ata hai, kya shaheed aur mazloom ki fehrist me Hazrat Hamza, Hazrat Usman, Hazrat Umar ka naam nahi? (radiyallaho anho). Aur jab Muawiyah radiyallaho anho ka naam aaye to kaee sunni musalman bhi unke rutbe aur martabe ko ujagar karne me kachi mehsoos karte hain, halan ki woh qaatib-e-wahi aur jaleel-ul-qadr sahaba the.
Laanati aur gande aqaaid ke himayati shiao ko sahaba ki muqaddas jamat se bughz hai, unka seedha talluk yahood se hai, Iran ke Esfahan shahar se jab Dajjal ka khurooj hoga to 70 hazar yahoodi uska sath denge, aur kaee yahoodi already waha base hue hain. Zaahir baat hai Iran ke huqmaraan shia hain, aur fitna-e-dajjal ko phailane me unho ne aham qirdaar ada kiya hai aur kar rahe hain, yeh woh fitna hai jisse har namaz me tashahhud me hame panah mangne ki talqeen ki gayi hai. Allah hamare iman ki hifazat farmaye aur hamare iLm-e-nafe' me izafa farmaye. Aamin.



buy 500ml zamzam water hyderabad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *