Dimaag • Brain
- Sajid Holy
- 08 Sep, 2021
Insan ke dimaag me har minute 1000 millilitre blood ka circulation hota hai. Insani dimag har din average 60000 thoughts ya khayalat generate karta hai jisme se 80% negative hote hain.
Hamari aankhen jo dekhti hain, unhe hamara dimag 13 milliseconds me process kar deta hai. Insan ke dimag me jism ke alag alag hisso se commands 268 mile per hour ki raftaar se pahuchte hain. Insani dimag me per second 1 lakh chemical reactions hote hain.
Dimag ki saari blood vessels ko agar bichhaya jaye to yeh moon yani chand ke aadhe raaste ka safar tay kar lengi, yani taqreeban 120000 miles. Insani dimag me taqreeban 86 billion brain cells hote hain. Brain tissue ke ek tukde me taqreeban 100000 neurons hote hain. Insani dimag ka wazan taqreeban 3 pound hota hai. Jism ka 25% cholestrol dimag me hota hai.
“Fa bi- ayyi alaa’i Rabbi-kuma tukadhdhiban”
"Tum apne parwardigaar ki kaun kaun se nemato ko jhutlaoge?"
Then which of the favors of your Lord will you deny?
(Repeated 31 times in Surah ar-Rahman [#55]
Leave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *