:

Nabi ﷺ shahadat ki maut paaye the

top-news
zamzam water buy online authentic india

Nabi ﷺ shahadat ki maut paaye the:
Khaybar ki jung (jo Muharram ya Rabee’ al-Awwal 7AH me hui thi) uske baad Nabi ﷺ ko ek yahoodi aurat Zaynab bint al-Haarith, jo Salaam ibn Mashkam naam ke yahood ke ek sardar ki biwi thi usne khane ki dawat par bulaya aur zehat-alooda gosht pesh kiya, jiska ek niwala already Nabi ﷺ apne mooh me daal chuke the, phir wahi ke zariye ittela milne par nikal diya, unke sath jo sahaba the Bishr ibn al-Bara’ ibn Ma’roor, unho ne kha liya aur shaheed ho gaye. (mafhoom) Al-Bukhaari (5777) Is zehar ka asar itna sakth aur khatarnaak tha ki kaee martaba uske asar ki wajah se Nabi ﷺ ko takleef hui, bimaar hue aur hijama ke zariye ilaaj bhi karwaya.
Ibn Masood radiyallaho anho Ahmad, 3617 ki riwayat me kehte hain ki is (zehar diye jane ki) wajah se Nabi ﷺ ki maut hui aur Nabi ﷺ ba-hasiyat e shaheed maut paaye yani Nabi ﷺ ki maut shahadat ki maut thi, Allah ne unhe shaheed ka martaba ata farmaya. (mafhoom).
Zeharshuda gosht khane ka waqiya Nabi ﷺ ki maut se taqreeban 4 saal pehle ke tha aura aakhri waqt me Nabi ﷺ ne Ayesha radiyallaho anha se kaha tha ki (mafhoom) us zehar ki wajah se mere dil ko jodne ali nas kat rahi hai.
Shaheedo se islam ki tareekh bhari padi hai, ahle-tashee shahadat me sar e fehrist jab Hussain radiyallaho anho ka naam rakhte hain to kya yeh bhool jate hain ya itne jahil ganwar hai ki unhe pata hi nahi ki khud Nabi ﷺ bhi shahadat ki maut paye the aur unke baad Umar, Usman, Ali aur Hasan radiyallaho anho bhi shaheed hue the? Aur barelwiyon ko bhi pata hona chahiye ki 12 Rabi ul awwal ko is tarha Nabi ﷺ ki shahadat hui thi, paidaish ki tareekh me ikhtelaf hai.
Lekin islam hame yeh taleem deta hai ki na to paidaish ka celebration manaya jaye aur na hi shahadat ka maatam.
Wallaho aalam.
Ibn Mas’ood (may Allaah be pleased with him) said:
“If I were to swear by Allaah nine times that the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) was killed, that is more beloved to me than swearing once, because Allaah made him a Prophet and made him a martyr.” Narrated by Ahmad, 3617.
The editors said, its isnaad is saheeh according to the conditions of Muslim.
Al-Bukhaari narrated in his Saheeh, in a mu’allaq report, and al-Haakim narrated in his Mustadrak in a mawsool report, that ‘Aa’ishah (may Allaah be pleased with her) said: “The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) used to say, in the illness which would be his last, ‘O ‘Aa’ishah, I still feel the pain of the food that I ate in Khaybar, and this time I feel that my aorta is being cut from that poison.”
The aorta is the vein that is towards the back and is connected to the heart; if it is cut then the person will die.
The conquest of Khaybar took place in Muharram or Rabee’ al-Awwal of the year 7 AH. So this event took place four years before the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) died.
“And say not of those who are killed in the way of Allaah, ‘They are dead.’ Nay, they are living, but you perceive (it) not” [al-Baqarah 2:154]


buy 500ml zamzam water hyderabad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *