Ek khaalis ahle tawheed salafi ahle hadees masjid ke aapke ghar, dukan, offie ya karobar ke darmiyan hone aur usme namaz ada karne ki kya fazeelat, fawaaid aur ahmiyat hai aur is nemat ko ignore karke ke kya nukasanat hain, yeh sari baten hum Allah ki tawfeek se is article me zikr karne ki koshish karenge. in sha Allah.
Ahle Hadees / Salafi / Ahle Tawheed Masaajid me Salah Qayam Karne ki Ahmiyat, Fazeelat aur Fawaid
- Sajid Holy
- 20 Sep, 2021
Kaee hazraat ko dekha gaya hai ki unka manhaj o aqeeda salafi aur ahle hadees ka hota hai, unke ghar ya karobar shop office daftar se kuch hi doori ya walkable distance par ahle hadees masjid hoti hai phir bhi hanafi masaajid me namaz ada kar lete hain jo ba muqabil zyada kareeb hoti hai. Aur yeh Inka roz marra ka mamla aur routine hota hai, sirf juma ke liye ahle hadees masjid me tashreef le jate hain. Hanafi imam ya ghair ahle hadees masjid me unke piche namaz padhna ya nahi, yeh is note ka topic aur mauzoo nahi hai. Woh ek alag masla hai, jiske bare me aap ulema se puchiye. Yaha zor is baat par dena hai aur emphasize yeh karna hai ki ek khaalis ahle tawheed masjid ke aapke darmiyan hone aur usme namaz ada karne ki kya fazeelat, fawaaid aur ahmiyat hai aur is nemat ko ignore karke ke kya nukasanat hain. Majboori ek alag condition hai.
(1) Agar aap ahlehadees masjid me namazen qayam karte hai to aapki namazo ki hifazat hoti hai aur qubooliyat ke chances zyada hote hain. Koi uska ulta matlab na nikale.
(2) Ahle tawheed imam ka muktadi hone se aap itminan rakh sakte hai ki salah ko lead karne wala khilafe sunnat nahi.
(3) kuch namazo me waqayi gadbad hone ke chance hail, eid ki namaz ka tareeka alag, janaze ki namaz me surah fatiha nahi , char rakat wali har farz ne teesri chauthi rakat me aap fatiha jet speed se padenge, maghrib ki ibtedayi 2 sunnate gayab , ramzan me (aur hamesha) witr ka tareeka alag, jumuah me urdu khutbe ke baad azan, tarawih me train chhut rahi ho itni speed, aur na jane kya kya!
(4) Aap tawheed paraston ki ek community se jude rahte hain , unke salam ka aur duao ka shaf milta hai, unki khabargiri aur khairiyat we wabasta hai jo ache muashre ki alamat hai, aur phir kabhi wo tallukat rishtedari men bhi badalte hai.
(5) Aap dars me khalis kitabo sunnat ki bate sunte hai jo iman ko taza rakhne ke liye aur iLm me izafe ke liye zaroori hai.
(6) Aap ehle bidat ki sohbat se mahfooz rehte hai.
(7) Aap ulema e ahle haqq se jude rehte hai aur ulema e soo se kinara kash hote hain.
(8) Aap mukhtalif salafi masaajid, madaaris, idare aur tawheed parast mustahiq logo ke liye maali tawoon karte hai, jisse aapke zakato sadkaat se ahle tawheed fayeda uthate hai aur aapke liye sawabe jariya banta hai.
(9) Kaee mauqo par aap ahle tawheed bimar logo ke liye shifa ki dua karne ka sharf hasil karte hai.
(10) Aapke khawateen aur bache in ahle hadees masajid ke zariye Deen ka sahi ilm hasil karte hain.
Alhamdulillah.
Leave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *