Maut • Death
- Sajid Holy
- 21 Sep, 2021
Insano ki aksariyat ke ander hubb-ad-duniya (duniya ki mohabbat) qoot qoot kar bhari hoti hai. Yeh duniya ki rangeeniya uska pichha aakhri sans tak nahi chhodti. Agar insan ko sone (gold) ka ek pahaad (mountain) bhi diya jaye, tab bhi woh doosre ki tamanna karega.
Khwahisho ki taqmeel nahi hoti aur inhi aarzoon ke sath woh maut ki dehleej par qadam rakh deta hai. Gaadi chali jaati hai aur pichhe gubaar rah jaate hain. Kuchh isi tarha insan ki aankhri sanse chal rahi hoti hai, aur pichhe pichhe khwahisho, tamannaho aur hasraton ka ek karwaan dhool ke gubaar tarha udta chala jata hai. Use lagta to hai ki kuchh pichhe chhut raha hai, sehrao me illusion (nazar ke dhoke) ki tarha nazar aane wale saaraab (inferior mirages) ki tarha use yeh duniya dikhayi deti hai, jise paane ki woh nakaam koshisho me hardam laga rahta hai. Ab woh haath me aane wali nahi.
Chahato se hara-bhara muskurata hua, kehkahe lagata hua yeh jism ek din fana ho jata hai, aur sirf naam rah jata hai. Kuchh arse ke baad log uska naam bhi bhool jate hain. Ab khwab nahi hai, khala (emptiness/vaccum) hai. Ek dard ka marhala hai. Bechaini ka silsilaa hai. Rahat aur lazzat insan ki chahat hoti hai. Uske ird gird tamannao ki ansuni aahat hoti hai. Chehre par banawati muskurahat hoti hai.
Jism ka saath chhod kar rooh chali jaati hai. Hum to itne bebas hai ki apni parchhiyo ko bhi pakad nahi sakte? Phir insaan ko itna ghuroor, itna taqabbur bhala KYON ? EK insan ke is duniya me hone ya naa hone se kya farq padta hai? Raat 11 baj kar 59 second par thehar jane wala lamha hame kya kehta hai ?
Naam insaan ke chehre par likha hota hai? Zindagi patton par chhaye hue shabnam ke katron ki tarah hoti hai. Aur hum har katre ko ek naam de dete hain. Phir subha hoti hai, sham hoti hai, zindagi yon hi tamam hoti hai. Ek kashti doob jati hai. Doobi huvi kashti paani ki satah par ek bhi zakhm, ek bhi nishaan nahi chhodti, bas itna yaad rehta hai ki ek kashti doobi thi.. kahin..kisi roz..!
Aafaaq (horizon) ke us paar koi khada hai, lekin dikhayi nahi deta. Ab khud ko pehchan'na bhi mushkil sa ho jata hai. Aayine me chehra to nazar aata hai lekin khud apne aapse insan nazar mila kar roo-ba-roo nahi ho paata. Use gham is baat ka hai ki uski aankho me thehra hua paani aakhir beh kyon nahi jaata? Ander hi ander use ghuntan si mehsoos hoti hai, jo daba hua hai, dil ki gherayion me woh bahar kyon nahi aata?
Sawalo ki fehrist lambi zaroor hai, lekin jawab insan ke paas maujood hai, zaroorat hai, ki woh khud apna muhasiba kare, apne aap ko ander se tatoole, talash karega to ander dafn kiye hue raaz mil hi jayega. Kab tak hum khud apne aap ko satayenge? Khali haath aaye the, khaali haath hi chale jayenge!
Peer Mare, Payambar Mare, Mar Gaye Vaidh aur Rogi
Raaja Mari hai, Praja Mari hai, Mar Gaye Zinda Jogi
Naam anaam anant rahat hai, dooja tatva naa hoyi
Kahat Kabeer suno bhai sadho, bhatak maro mat koi
Death comes to pious people, death comes to Prophets also, Doctors are dead and patients are also dead, Kings die, people are also going to die, Meditators who claim and strive to remain eternal, also die. No one ever lived in this world. The thing which stays in this world is just a name.
Leave a Reply
Your email address will not be published. Required fields are marked *