:

Qurbaniyaan Makkah Se Karbala

top-news
zamzam water buy online authentic india

Makkah se Madinah ki hijrat e Nabi sallallahu alaihi wa sallam aur hijrat e sahaba yaqeenan ek azeem waqiya hai. Jab Nabi sallallahu alahi wa sallam aur sahaba Makkah me the, to zindagi bade mushkeeltareen daur se guzar rahi thi, mushrikeen e makkah ka zulm, unki gaaliyan, unki bohtantarashiyan, unka makro fareb, unke islam aur tawheed to jhutlana aur musalmano ko takleef aur izaa pahuchana, unka muslamano ki jaan, maal, maee'shat aur izzat par hamla karna, yeh sab jhela aur badasht kiya. Ab hijrat ka huqm hua, tareekh ke panne palat rahe the.
Zindagi pasti, lachari aur mashakkaton ke daur se hat kar urooj, tarakki, taqat, quwwat, aur iqtedaar ki taraf aage badh rahi thi. Islam ko ek nayi taqat, ek naya josh aur ek naya daur hasil hua, jisme ghalba tha, dawate islam ko aalam e islam par phailane ka ek azeem stage tayyar ho raha tha. Islam bulandiyon par faiez ho raha tha aur musibat o majboori ke din khatm ho rahe the.
Khushiyon ke lehre daud rahi thi, ahle madeenah kabhi utna khusho khurram na the, jitne us din the, jab Nabi sallallahu alahi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr radiyallaho anho Madeenah tayyabah tashreef laye. Unse kuch arse pahle already Hz Musab bin umayr, Hz Abdullah ibn Umme Makhtoom, Hz Umar aur deegar sahaba (radiyallaho anhum) tashreef la chuke the.
Al garz muharram aur hijrat ka waqiya jaha se islami naya sal shuru hota hai, yeh bahaduri, bulandi, khushi aur urooj ka din hai, na ki gham o matam ka. Muharram me Hussain radiyallaho anho ki shahadat ka waqiya pesh aya yeh yakeenan alame islam aur duniyabhar ke liye afsos zada baat hai lekin iska koi talluk mahe muharram ki faziat se bilkul bhi nahi hai.
Watch : Qurbaniyaan Makkah Se Karbala •


buy 500ml zamzam water hyderabad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Prince Mahmud

wow awesome