How to face challenges in Life?

Total Views : 284
Zoom In Zoom Out Read Later Print

A strong believer is better and is more lovable to Allah than a weak believer, and there is good in everyone, (but) cherish that which gives you benefit (in the Hereafter) and seek help from Allah and do not lose heart, and if anything (in the form of trouble) comes to you, don't say: If I had not done that, it would not have happened so and so, but say: Allah did that what He had ordained to do and your" if" opens the (gate) for the Satan. (Sahih Muslim 2664)

Layi hayaat aaye, qaza le chali chale...
Na apni khushi aaye, na apni khushi chale!

Mein aur aap apni marzi se paida nahi hue, aur na hi apni marzi se maut aayegi. Hamari height kya hogi hamara rang kya hoga, hum fair banenge ya hamari skin dark hogi yeh saari chize hum ne decide nahi ki.

Events kabhi hamare ikhtiyar me aur control me aur hamare hath me nahi hote. Lekin agar hamara response shandaar ho, accha ho, to outcome aur result hamare hath me hota hai. Isliye amal karna aur hattal imkaan koshish karna insan ke aur har individual ke zimme hai.

Taqdeer ka masla kaee logo ko samajh me nahi aata aur agar aadha adhoora samajh me aaya hai, aur mukammal taur par takdeer ya kismat ka concept samajh me nahi aaya to unka dimag har waqt space me ghumta rahta hai.

Taqdeer Allah ka amr, command, ya huqm nahi hai. Taqdeer Allah tala ka iLm hai aur Allah ka iLm har lihaz se mukammal, kaamil aur perfect hai. Allah ne insan ko khair aur shar ke dono raaste dikhla diye hain. Allah ne insan ko aql di hai, aur agar woh aql sahi mano me istemal ho to use aql e saleem kaha jata hai. Allah ne insan ko dil diya hai aur agar woh dil Allah ki farmabardari me lag jaye to use qalb e saleem kaha jata hai. Allah ne insan ko will power diya hai. Use choice di hai selection karne ke liye. Ek taraf right side hai doosri taraf wrong side. Allah ko pata hai ki fala fala banda wrong side me jaayega, phir yeh bhi pata hai ki uski aql kahegi ki yaha mat ja, wrong side hai khatra hai, yeh no entry zone hai, phir yeh bhi pata hai ki woh shakhs palat kar aayega aur right side par sidhe raaste par aur sirat al mustaqeem par jaega aur chalega. is tarha har makhlooq ki sari chize Allah ke iLm me hai. Isiliye Allah farmata hai, (mafhoom) ki Hum kisi qaum ki halat tab tak nahi badalte jab tak unhe khud apni halat badalne ki fikr na ho. Aur isi liye farmaya ki Allah ka mamla bande ke sath waise hi hota hai jaisa banda Allah se tawakko rakhta hai.

Life is 10% what happens to you and 90% how you react to it, isliye kabhi react na kare balki respond karen. Zindagi kadam kadam par chunauti aur challenges le kar aayegi. Jaise ki Quran me bhi aaya hai ki iman walon ko kabhi bhook se, kabhi khauf se, kabhi aulaad se, kabhi maal ki kami se aur phalon ki kami se aazmaya jayega. Kamiyaab tareen insan woh honge jo sabr ki aala aur superlative category yani sabr e jameel baja layenge. Insan ka ek particular situation me kya rawayya hoga, aur kya response hoga, aur uske sare wajood ko hila kar rakh dene wale kisi incidence ke baad bhi woh kis tarha problems ko face karega yeh batlata hai ki uski zindagi ka rukh kis taraf jayega.

Outcome ka event se koi lena dena nahi hai. Kyonki outcome aapke hath me hai, event aapke hath me nahi hai. Zindagi me koi bhi toofan aaye, use face karte hue, apne aapko mazbooti se sambhale rakhna, iska sara daro madar insan ke thought process par hota hai. Insan ki soch kya hai, uski zindagi ka perspective kya hai aur usme sabr yani patience kis hadd tak hai. Isi liye hadees me aata hai (mafhoom) ki insan ko chahiye ki jo chiz use fayeda pahucha sakti hai use hasil karne ki woh koshish kare, aur phir jab uski marzi ke mutabik mamla na ho, to aisa na kahe ki mein aisa karta to aisa hota, kyonki agar magar ka mamla shaitan ke sharr ko dakhalandaazi karne ka mauqa deta hai.



Verily! Allah will not change the condition of a people unless there is a change of what is in themselves. (Surah al-Rad Verse 11)
“And certainly, We shall test you with something of fear, hunger, loss of wealth, lives and fruits, but give glad tidings to As-Sabirun (the patient). Who, when afflicted with calamity, say: “Truly! To Allah we belong and truly, to Him we shall return.” (Surah Al-Baqarah Verse 155)
A strong believer is better and is more lovable to Allah than a weak believer, and there is good in everyone, (but) cherish that which gives you benefit (in the Hereafter) and seek help from Allah and do not lose heart, and if anything (in the form of trouble) comes to you, don't say: If I had not done that, it would not have happened so and so, but say: Allah did that what He had ordained to do and your" if" opens the (gate) for the Satan. (Sahih Muslim 2664)
Allah the Almighty said: I am as My servant thinks I am. (Sahih al-Bukhari 7405) (Explanation : The meaning is that forgiveness and acceptance of repentance by the Almighty is subject to His servant truly believing that He is forgiving and merciful. )

See More

Latest Photos